Hello Everyone!
Welcome to “The Other Side”
‘The Other Side’ is my first attempt on a monologue photo story, exploring lives that are lead by simple pleasures.
Here is a story of a girl living in Chandini Chowk who’s prepping for the biggest party of the year-
The Ramleela.
To bring out the essence of the story I’ve kept the lingo Hinglish.
Hope you like it
Lets Begin…..
…
Hello!
Hum pehle kabhi mille nahi, par aaj aap mere saath rahiyega,
kuch pal mere life ke share karna chahti hoon.
Abhi kinari bazaar aayi hoon, mummy ne kuch samaan laane ko kaha hai.
Apna naam toh bataana bhool gayi- Shyra.
Aur aapka?
Par mummy mana karti hai, kehti hai kaali hojaayegi itni chai peeyegi.
Par main chhupke se das rupaye nikaal leti hoon mummy ke purse se.
Aapke liye bhi ek chai?
Nayi Sadak jaane ke liye tees rupaye kabse lene lage bhaiya?
Aaj main bahut excited hoon.
Raat ko Ramleela jaana hai.
Nayi saree ke liye paise jama karke rakhe hai.
Wohi lene jaa rahi hoon.
Red kaisa rahega mere pe?
Aakhir mein mummy ki hi sari kaam aayi.
Mummy ki dahej ki hai yeh.
Mujhpe kaisi lag rahi hai?
Aaj toh mehngi wali lipstick lagegi aur bahut saara gajra bhi.
Kya pata koi takra jaaye.
Woh dikhaate hai na tv par, scent ki ad mein.
Bilkul waise.
Chalo chale!
Mummy ko bol diya hai, aaj mera khaane pe intezaar na kare.
Aaj toh late ho hi jaayega.
Tathastu ka matlab jaante hai aap?
‘Jaisa chaho waisa ho’
Meri bhi ek wish hai.
Bataaun?
Abhi toh main Backstage agayi hu.
Ramleela wale log nice hai.
Koi toh 9 saal se ramleela mein acting kar rahe hai.
Acchi English bhi bolte hai.
Woh kehte hai na,
laughter is the medicine.
Backstage aake accha laga.
Bachpan mein jab mummy ke saath Ramleela aana hota tha
…toh woh yeh sabse pehle Budhiya ke Baal dilaake deti thi.
Ab mummy ko main bahut satati hoon- Budhiya ke baal!
Yeh jhulla toh meri baaton se bhi tez hai!
Aur holi ke gubaaron se achha toh yeh hai.
Nishaane pe lag jaaye toh gaali ki jagah gift milta hai.
Sab Ram ko jeetne ya Ravan ko jalte dekhne aate hai.
Par main Sita ko dekhne aati hoon.
Ram aur Sita toh 14 saal baad ghar aa gaye the, par mummy kabhi nahi aayegi.
Jaate Jaate mummy ne kaha tha tum Ramleela har saal zaroor dekhne jaana. Kehti, “main na sahi par tujhe woh zindagi sikhaayegi”
Aaj mummy hoti toh ek sawaal main zaroor karti….
Sita, in her youth, marries Lord Rama.
After marriage, she goes to exile with her husband.
While in exile, she is abducted by Ravana and imprisoned in Lanka for a year, until she is rescued by Rama.
After the war, Rama asks Sita to undergo Agni Pariksha (an ordeal of fire) by which she proves her purity before she is accepted by Rama.
After few months, Sita becomes pregnant, bringing doubt to the Kingdom. Rama then sends Sita away on exile.
Years later, Sita returns to the womb of her mother, the Earth, for release from a cruel world as a testimony of her purity.
Citation- Wikipedia
……….xxx……….
Photographed By- Devansh Jhaveri (Follow)
Concept & Story- Sukhneet Wadhwa (Follow)
Assisted By- Tanveen Chadha (Follow)
0 comments
There are no comments in this article, be the first to comment!